Last month Satyam has sent so many people on Virtual Pool Plan. It may be a cost cutting Step for a company. Just remind those lovely days with the poem written by one of our friend
Wo mayfair ka bus stop, Wo Hyderabadi Biryani
Satyam ki life yaaron, ab ban jaayegi kahaani
Aao chalen ek bar phir, un dino ki yaad mein
Jab college se nikalkar hum, aaye Hyderabad mein
Nayi jagah, naye log, Wo pehli job ka excitement
Wo Joining, Induction, ELTP aur STC ka environment
Wo Training ka tension, Wo Assessment ke Dumps
Wo meetings Wo get-togethers, Wo Birthday Bumps
Wo pehli salary ka anokha intezaar
Wo ATM par logon ki lambi kataar
Wo roz roz ki timesheet, Wo kabhi-kabhi ka headcount
Wo Hyd Central ki shopping, Wo Brand Factory ka discount
Wo Outbound ke mazey, Wo Spotlight ka hungama
Wo dances, Wo skits, Wo music Wo drama
Wo training ka end, Wo ghar jaane ka delight
Wo bench ke kisse, Wo hamari pehli Flight
Bench pe overtime, Counter Strike ke liye
Un dina yaarun hum kitna mazan kiye
Wo Sindhi Colony ki galiyan, Wo sham ke nazare
Kuchh ko 2-member projects mile, kuchh reh gaye bechare
Wo Eat Street ki Raunak, Wo Necklace Road ki sair
Ab kya maza wahan pe, yaaron tumhare bagair
Sign in sign out mein bhi, khoob ki manmaani
Satyam ki life yaaron, ab ban jaayegi kahaani
Wo client ka project, Wo late night TT aur Carrom
Wo din Jab Onsite ke, sapne sajaate thhe hum
Wo roz sham ke samose, aur Wo Naarial paani
Kya mast din thhe, Zindgi kitni thi suhaani
Kisi ko shift allowance mila, koi hua retrench
Koi Onsite pe, koi VPP mein, koi 'Still on Bench'
Wo Rating/Appraisal ke loche, aur RMs ka atyaachaar
Wo boring hoti bench, Wo lamba hota project ka intezaar
Wo musibat ke waqt, Clients ka munh mod jaana
Wo ek-ek karke hamare, colleagues ka chhod jaana
Saari ye museebatein theen hamare hi time pe aani
Satyam ki life yaaron, ab ban jaayegi kahaani
Wo logon ka poochhna, “satyam mein kya chal raha hai?
Tech M ke aane se, kahan kya badal raha hai?”
In 2 saalon mein hum, kis kis daur se guzre
Kuchh sapne toote, kuchh reh gaye adhoore
Ab koi loan repay karega, to koi EMI bharega
Koi MS, koi MBA to koi shaadi ki tayyari karega
Bhool jaana mujhe, par rakhna ye nishani
Wo mayfair ka bus stop, Wo Hyderabadi Biryani
………………………………………………………………………………………………
Chaahe alag hon raaste, chahe juda hon manzilen
Bas yahi dua hai Khuda se, hum kabhi phir milen
Best of luck to friends .........
Monday, July 6, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
very touching...........:)
ReplyDelete04/16/16 I hv visited sindhi colony and missed my Satyam day's....nice poem :)
ReplyDelete04/16/16 I hv visited sindhi colony and missed my Satyam day's....nice poem :)
ReplyDelete